kab se ulajh rahe hain dam-e-wapsin se hum
kab se ulajh rahe haiñ dam-e-vāpsīñ se ham
do ashk poñchhne ko tirī āstīñ se ham
hogā tumhārā naam hī unvān-e-har-varaq
aurāq-e-zindagī ko ulaT deñ kahīñ se ham
sañg-e-dar-e-adū pe hamārī jabīñ nahīñ
ye sajde kar rahe haiñ tumhārī jabīñ se ham
dohrā.ī jā sakegī na ab dāstān-e-ishq
kuchh vo kahīñ se bhuul ga.e haiñ kahīñ se ham
'bismil' harīm-e-husn meñ haiñ kām-yāb-e-shauq
josh-e-shabāb o rañg-e-ruḳh-e-ātishīñ se ham
kab se ulajh rahe hain dam-e-wapsin se hum
do ashk ponchhne ko teri aastin se hum
hoga tumhaara nam hi unwan-e-har-waraq
auraq-e-zindagi ko ulaT den kahin se hum
sang-e-dar-e-adu pe hamari jabin nahin
ye sajde kar rahe hain tumhaari jabin se hum
dohrai ja sakegi na ab dastan-e-ishq
kuchh wo kahin se bhul gae hain kahin se hum
'bismil' harim-e-husn mein hain kaam-yab-e-shauq
josh-e-shabab o rang-e-ruKH-e-atishin se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.