kab tasawwur yar-e-gul-ruKHsar ka fel-e-abas
kab tasavvur yār-e-gul-ruḳhsār kā fe.l-e-abas
ishq hai is gulshan-o-gulzār kā fe.al-e-abas
nik.hat-e-gasu-e-ḳhūbāñ ne kiyā be-qadr use
ab hai saudā nāfa-e-tātār kā fe.al-e-abas
rishtha-e-ulfat rag-e-jāñ meñ butoñ kā paḌ gayā
ab ba-zāhir shaġhl hai zunnār kā fe.al-e-abas
ārzū-mand-e-shahādat āshiq-e-sādiq hue
ġhair ko Dar hai tirī talvār kā fe.al-e-abas
jab dil-e-sañgīñ-dilāñ meñ kuchh asar hotā nahīñ
girya hai is dīda-e-ḳhūñ-bār kā fe.al-e-abas
ḳhvāb meñ bhī yaar ko is kā ḳhayāl aatā nahīñ
jāgnā thā dīda-e-bedār kā fe.al-e-abas
ḳhālī-az-hikmat huā 'bahrām' kab fel-e-hakīm
kaam kab hai dāvar-e-dādār kā fe.al-e-abas
kab tasawwur yar-e-gul-ruKHsar ka fel-e-abas
ishq hai is gulshan-o-gulzar ka feal-e-abas
nikhat-e-gasu-e-KHuban ne kiya be-qadr use
ab hai sauda nafa-e-tatar ka feal-e-abas
rishtha-e-ulfat rag-e-jaan mein buton ka paD gaya
ab ba-zahir shaghl hai zunnar ka feal-e-abas
aarzu-mand-e-shahadat aashiq-e-sadiq hue
ghair ko Dar hai teri talwar ka feal-e-abas
jab dil-e-sangin-dilan mein kuchh asar hota nahin
girya hai is dida-e-KHun-bar ka feal-e-abas
KHwab mein bhi yar ko is ka KHayal aata nahin
jagna tha dida-e-bedar ka feal-e-abas
KHali-az-hikmat hua 'bahram' kab fel-e-hakim
kaam kab hai dawar-e-dadar ka feal-e-abas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.