kabhi aaya na wo qabu hamare
kabhī aayā na vo qaabū hamāre
khule hī rah ga.e baazū hamāre
sisakte aur marte jā rahe haiñ
tumhāre dasht meñ aahū hamāre
huī mushkil na ham se hal tumhārī
na sīdhe ho sake ullū hamāre
charāġhoñ ke muqābil aa ga.e haiñ
bahut mā'sūm haiñ jugnū hamāre
du'ā-e-hijr thī ḳhud ko hamārī
magar ābād haiñ pahlū hamāre
masal do paañv meñ talvār apnī
laboñ se kaaT do chāqū hamāre
kabhi aaya na wo qabu hamare
khule hi rah gae bazu hamare
sisakte aur marte ja rahe hain
tumhaare dasht mein aahu hamare
hui mushkil na hum se hal tumhaari
na sidhe ho sake ullu hamare
charaghon ke muqabil aa gae hain
bahut ma'sum hain jugnu hamare
du'a-e-hijr thi KHud ko hamari
magar aabaad hain pahlu hamare
masal do panw mein talwar apni
labon se kaT do chaqu hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.