kabhi anjaane mein jab bhi kisi ka dil dukhata hun
kabhī anjāne meñ jab bhī kisī kā dil dukhātā huuñ
to phir tanhā.iyoñ meñ baiTh kar aañsū bahātā huuñ
mujhe ma.alūm hai manzar hasīñ vo ho chuke dhuñdle
magar kyuuñ roz āñkhoñ meñ vahī manzar bulātā huuñ
mirī is baat se nārāz haiñ kuchh bastiyoñ vaale
ḳhushī ghar ghar luTātā huuñ magar ġham kyuuñ chhupātā huuñ
mirī sāñsoñ kī quvvat kā bahut mushkil hai andāza
maiñ phūñkoñ se charāġhoñ ko nahīñ sūraj bujhātā huuñ
mirī fitrat hai apne hāfize ko taaza rakhne kī
maiñ apnā hāfiza kamzor hone se bachātā huuñ
kabhi anjaane mein jab bhi kisi ka dil dukhata hun
to phir tanhaiyon mein baiTh kar aansu bahata hun
mujhe malum hai manzar hasin wo ho chuke dhundle
magar kyun roz aankhon mein wahi manzar bulata hun
meri is baat se naraaz hain kuchh bastiyon wale
KHushi ghar ghar luTata hun magar gham kyun chhupata hun
meri sanson ki quwwat ka bahut mushkil hai andaza
main phunkon se charaghon ko nahin suraj bujhata hun
meri fitrat hai apne hafize ko taza rakhne ki
main apna hafiza kamzor hone se bachata hun
- Book : Badal Gai Koi Shai (Pg. 34)
- Author : Dr. Mushtaque Sadaf
- Publication : Swaraj Prakashan, New Delhi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.