kabhi barson ka simTaw bahut achchha laga hai
kabhī barsoñ kā simTāv bahut achchhā lagā hai
kabhī lamhe kā phailāv bahut achchhā lagā hai
satāyā ek arsa tab.a kī jaulāniyoñ ne
to ab jazboñ kā Thahrāv bahut achchhā lagā hai
lagāyā hai farāmoshī kā marham sab pe lekin
ga.e vaqtoñ kā ik ghaav bahut achchhā lagā hai
sukūñ parvar jazīroñ tak mujhe pahuñchāne vaalā
talātum sā pas-e-nāv bahut achchhā lagā hai
nayā ik peñtrā apnā khulā mujh par hamesha
mujhe qismat kā har daav bahut achchhā lagā hai
kabhi barson ka simTaw bahut achchha laga hai
kabhi lamhe ka phailaw bahut achchha laga hai
sataya ek arsa taba ki jaulaniyon ne
to ab jazbon ka Thahraw bahut achchha laga hai
lagaya hai faramoshi ka marham sab pe lekin
gae waqton ka ek ghaw bahut achchha laga hai
sukun parwar jaziron tak mujhe pahunchane wala
talatum sa pas-e-naw bahut achchha laga hai
naya ek pentra apna khula mujh par hamesha
mujhe qismat ka har daw bahut achchha laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.