kabhi be-muddaa dena kabhi ba-muddaa dena
kabhī be-mudda.ā denā kabhī bā-mudda.ā denā
samajh meñ kuchh nahīñ aatā tirī sarkār kā denā
kabhī mehrāb-e-dil ko darḳhur-e-ka.aba banā denā
kabhī dāmān-e-ġham ko bhī madīne kī havā denā
mubārak un ko apnī raah meñ kāñTe bichhā denā
hameñ aatā hai bas dushman ke haq meñ bhī duā denā
janāb-e-shaiḳh kā ye zohd-o-taqvā kyā ibādat hai
ma.āl-e-bandagī hai zindagī apnī miTā denā
tirī nazroñ ke sadqe be-piye hī mast haiñ saaqī
hamāre sāmne se sāġhar-o-mīnā haTā denā
riyāz-e-zaḳhm ko dī tāzgī merī nigāhoñ ne
mire ashkoñ ko aatā hai ḳhizāñ meñ gul khilā denā
ġhazal ko ab 'hayāt'-afroz nazzāroñ kī hājat hai
qadāmat se alag haT kar na.ī duniyā basā denā
kabhi be-muddaa dena kabhi ba-muddaa dena
samajh mein kuchh nahin aata teri sarkar ka dena
kabhi mehrab-e-dil ko darKHur-e-kaba bana dena
kabhi daman-e-gham ko bhi madine ki hawa dena
mubarak un ko apni rah mein kanTe bichha dena
hamein aata hai bas dushman ke haq mein bhi dua dena
janab-e-shaiKH ka ye zohd-o-taqwa kya ibaadat hai
maal-e-bandagi hai zindagi apni miTa dena
teri nazron ke sadqe be-piye hi mast hain saqi
hamare samne se saghar-o-mina haTa dena
riyaz-e-zaKHm ko di tazgi meri nigahon ne
mere ashkon ko aata hai KHizan mein gul khila dena
ghazal ko ab 'hayat'-afroz nazzaron ki hajat hai
qadamat se alag haT kar nai duniya basa dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.