Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi be-niyaz-e-maKHzan kabhi dushman-e-kinara

Farooq Banspari

kabhi be-niyaz-e-maKHzan kabhi dushman-e-kinara

Farooq Banspari

MORE BYFarooq Banspari

    kabhī be-niyāz-e-maḳhzan kabhī dushman-e-kinārā

    kahīñ tujh ko le na Duube tirī zindagī dhārā

    mirī quvvat-e-nazar ka.ī ruḳh se imtihāñ hai

    kabhī uzr-e-lan-tarānī kabhī dāvat-e-nazārā

    ġham-e-ishq ne kaaTī ġham-e-ishq musībat

    isī mauj ne Duboyā isī mauj ne ubhārā

    tire ġham parda-poshī jo isī muqtazī hai

    to qasam hai tere ġham mujhe har ḳhushī gavārā

    dam-e-sub.h-e-nau-bahārāñ jo kalī chaman meñ chaTkī

    to gumāñ huā ki jaise mujhe aap ne pukārā

    mire nāḳhudā na ghabrā ye nazar hai apnī apnī

    tire sāmne hai tūfāñ mire sāmne kinārā

    mirī kashti-e-tamannā kabhī ḳhushkiyoñ meñ Duubī

    kabhī bahr-e-ġham tinkā mujhe de gayā sahārā

    tirā haq bhī sar ba-zānū mirā kufr bhī pashīmāñ

    mujhe āgahī ne luuTā tujhe ġhaflatoñ ne maarā

    ye karam ye mehrbānī tirī 'fārūq'-e-hazīñ par

    ye gila hai kyuuñ na baḳhshā mujhe shukriye yaarā

    kabhi be-niyaz-e-maKHzan kabhi dushman-e-kinara

    kahin tujh ko le na Dube teri zindagi ka dhaara

    meri quwwat-e-nazar ka kai ruKH se imtihan hai

    kabhi uzr-e-lan-tarani kabhi dawat-e-nazara

    gham-e-ishq hi ne kaTi gham-e-ishq ki musibat

    isi mauj ne Duboya isi mauj ne ubhaara

    tere gham ki parda-poshi jo isi ki muqtazi hai

    to qasam hai tere gham ki mujhe har KHushi gawara

    dam-e-subh-e-nau-bahaaran jo kali chaman mein chaTki

    to guman hua ki jaise mujhe aap ne pukara

    mere naKHuda na ghabra ye nazar hai apni apni

    tere samne hai tufan mere samne kinara

    meri kashti-e-tamanna kabhi KHushkiyon mein Dubi

    kabhi bahr-e-gham ka tinka mujhe de gaya sahaara

    tera haq bhi sar ba-zanu mera kufr bhi pashiman

    mujhe aagahi ne luTa tujhe ghaflaton ne mara

    ye karam ye mehrbani teri 'faruq'-e-hazin par

    ye gila hai kyun na baKHsha mujhe shukriye ka yara

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kabhi be-niyaz-e-maKHzan kabhi dushman-e-kinara Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now