kabhi be-sabab tum rula kar to dekho
kabhī be-sabab tum rulā kar to dekho
mujhe merī jaañ aazmā kar to dekho
na chhūTegā pal bhar ko dāman tumhārā
kabhī ham ko apnā banā kar to dekho
vafā kā mahaktā huā phuul ban kar
mahak apnī ham par luTā kar to dekho
na TūTegā bandhan kabhī ye hamārā
kabhī ham se do pal nibhā kar to dekho
abhī tak khaḌe haiñ isī moḌ par ham
kabhī tum vahīñ ham ko aa kar to dekho
kiran zindagānī kī utregī dil meñ
kabhī apnā dāman bichhā kar to dekho
kabhi be-sabab tum rula kar to dekho
mujhe meri jaan aazma kar to dekho
na chhuTega pal bhar ko daman tumhaara
kabhi hum ko apna bana kar to dekho
wafa ka mahakta hua phul ban kar
mahak apni hum par luTa kar to dekho
na TuTega bandhan kabhi ye hamara
kabhi hum se do pal nibha kar to dekho
abhi tak khaDe hain isi moD par hum
kabhi tum wahin hum ko aa kar to dekho
kiran zindagani ki utregi dil mein
kabhi apna daman bichha kar to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.