kabhi dilon ki sada bhi ban ja
kabhī diloñ kī sadā bhī ban jā
kisī ke lab kī duā bhī ban jā
ye dāġh-e-gul bhī haiñ aas rakhte
sañvār in ko sabā bhī ban jā
hazār rangoñ meñ ho numāyāñ
tū rang koī judā bhī ban jā
kisī ke dil meñ jagā ke chāhat
tū aarzū kā ḳhudā bhī ban jā
ġhamoñ se rāhat mile kisī ko
sharāb ban jā nasha bhī ban jā
dil-o-nazar ke sukūñ kī ḳhātir
fazā bhī ban jā ghaTā bhī ban jā
karīm kī ho nazar bhī tujh par
tū 'rāg' aisī ḳhatā bhī ban jā
kabhi dilon ki sada bhi ban ja
kisi ke lab ki dua bhi ban ja
ye dagh-e-gul bhi hain aas rakhte
sanwar in ko saba bhi ban ja
hazar rangon mein ho numayan
tu rang koi juda bhi ban ja
kisi ke dil mein jaga ke chahat
tu aarzu ka KHuda bhi ban ja
ghamon se rahat mile kisi ko
sharab ban ja nasha bhi ban ja
dil-o-nazar ke sukun ki KHatir
faza bhi ban ja ghaTa bhi ban ja
karim ki ho nazar bhi tujh par
tu 'rag' aisi KHata bhi ban ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.