kabhī gesū na bigḌe qātil ke
nāz-bardār haiñ mire dil ke
mujh ko aġhyār se bhī ulfat hai
ki ye kushte haiñ mere qātil ke
uThe jaate haiñ bazm-e-ālam se
aane vaale tumhārī mahfil ke
un ke dar tak pahuñch ke martā huuñ
Dūbtā huuñ qarīb sāhil ke
dāġh-e-dil ghuT rahe haiñ piirī meñ
bujh rahe haiñ charāġh mahfil ke
hai musāfir-navāz teġh tirī
mujh ko ruḳhsat kiyā gale mil ke
ai 'rashīd' 'uns' tak the ham shā.ir
ho ga.e ḳhaak hausle dil ke
kabhi gesu na bigDe qatil ke
naz-bardar hain mere dil ke
mujh ko aghyar se bhi ulfat hai
ki ye kushte hain mere qatil ke
uThe jate hain bazm-e-alam se
aane wale tumhaari mahfil ke
un ke dar tak pahunch ke marta hun
Dubta hun qarib sahil ke
dagh-e-dil ghuT rahe hain piri mein
bujh rahe hain charagh mahfil ke
hai musafir-nawaz tegh teri
mujh ko ruKHsat kiya gale mil ke
ai 'rashid' 'uns' tak the hum shair
ho gae KHak hausle dil ke
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-153 page-135)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.