kabhi gokul kabhi radha kabhi mohan ban ke
kabhī gokul kabhī rādhā kabhī mohan ban ke
maiñ ḳhayāloñ meñ bhaTaktī rahī jogan ban ke
har janam meñ mujhe yādoñ ke khilaune de ke
vo bichhaḌtā rahā mujh se mirā bachpan ban ke
mere andar koī taktā rahā rasta us kā
maiñ hamesha ke liye rah ga.ī chilman ban ke
zindagī bhar maiñ khulī chhat pe khaḌī bhīgā kī
sirf ik lamha barastā rahā sāvan ban ke
merī ummīdoñ se lipTe rahe andeshoñ ke saañp
umr har daur meñ kaTtī rahī chandan ban ke
is tarah merī kahānī se dhuāñ uThtā hai
jaise sulge koī har lafz meñ īñdhan ban ke
kabhi gokul kabhi radha kabhi mohan ban ke
main KHayalon mein bhaTakti rahi jogan ban ke
har janam mein mujhe yaadon ke khilaune de ke
wo bichhaDta raha mujh se mera bachpan ban ke
mere andar koi takta raha rasta us ka
main hamesha ke liye rah gai chilman ban ke
zindagi bhar main khuli chhat pe khaDi bhiga ki
sirf ek lamha barasta raha sawan ban ke
meri ummidon se lipTe rahe andeshon ke sanp
umr har daur mein kaTti rahi chandan ban ke
is tarah meri kahani se dhuan uThta hai
jaise sulge koi har lafz mein indhan ban ke
- Book : Goonj (Pg. 113)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.