kabhi gul ke kabhi gulzar ke bose
kabhī gul ke kabhī gulzār ke bose
jabīñ ke chashm ke ruḳhsār ke bose
lahū kī surḳhiyoñ meñ pai-ba-pai hamdam
mahakte haiñ tirī dīvār ke bose
lahū kī sar-kashī merā muqaddar hai
mujhe marġhūb haiñ talvār ke bose
falak taktā rahā hairat se us kā muñh
zamīñ letī rahī raftār ke bose
havā meñ sar-ba-sar e.ajāz hai koī
ḳhalā meñ sabt haiñ asrār ke bose
kabhi gul ke kabhi gulzar ke bose
jabin ke chashm ke ruKHsar ke bose
lahu ki surKHiyon mein pai-ba-pai hamdam
mahakte hain teri diwar ke bose
lahu ki sar-kashi mera muqaddar hai
mujhe marghub hain talwar ke bose
falak takta raha hairat se us ka munh
zamin leti rahi raftar ke bose
hawa mein sar-ba-sar eajaz hai koi
KHala mein sabt hain asrar ke bose
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.