kabhi guman kabhi etibar ban ke raha
kabhī gumān kabhī e'tibār ban ke rahā
dayār-e-chashm meñ vo intizār ban ke rahā
hazār ḳhvāb mirī milkiyat meñ shāmil the
maiñ tere ishq meñ sarmāya-dār ban ke rahā
tamām umr use chāhnā na thā mumkin
kabhī kabhī to vo is dil pe baar ban ke rahā
usī ke naam karūñ maiñ tamām ahd-e-ḳhayāl
darūn-e-jāñ jo mire sogvār ban ke rahā
agarche shahr meñ mamnūa thī himāyat-e-ḳhvāb
magar ye dil sabab-e-intishār ban ke rahā
kabhi guman kabhi e'tibar ban ke raha
dayar-e-chashm mein wo intizar ban ke raha
hazar KHwab meri milkiyat mein shamil the
main tere ishq mein sarmaya-dar ban ke raha
tamam umr use chahna na tha mumkin
kabhi kabhi to wo is dil pe bar ban ke raha
usi ke nam karun main tamam ahd-e-KHayal
darun-e-jaan jo mere sogwar ban ke raha
agarche shahr mein mamnua thi himayat-e-KHwab
magar ye dil sabab-e-intishaar ban ke raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.