kabhi ghuncha kabhi shoala kabhi shabnam ki tarah
kabhī ġhuncha kabhī sho.ala kabhī shabnam kī tarah
log milte haiñ badalte hue mausam kī tarah
mere mahbūb mire pyaar ko ilzām na de
hijr meñ iid manā.ī hai moharram kī tarah
maiñ ne ḳhushbū kī tarah tujh ko kiyā hai mahsūs
dil ne chheḌā hai tirī yaad ko shabnam kī tarah
kaise hamdard ho tum kaisī masīhā.ī hai
dil pe nashtar bhī lagāte ho to marham kī tarah
kabhi ghuncha kabhi shoala kabhi shabnam ki tarah
log milte hain badalte hue mausam ki tarah
mere mahbub mere pyar ko ilzam na de
hijr mein id manai hai moharram ki tarah
main ne KHushbu ki tarah tujh ko kiya hai mahsus
dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah
kaise hamdard ho tum kaisi masihai hai
dil pe nashtar bhi lagate ho to marham ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.