kabhi hai shauq uksahaT ka mausam
kabhī hai shauq uksāhaT kā mausam
kabhī be-nām uktāhaT kā mausam
kabhī būñdoñ kī kin-min rāgnī sī
kabhī bādal kī ġhurrāhaT kā mausam
faqat nākāmiyoñ se kaam apnā
ye māyūsī meñ jhallāhaT kā mausam
koī tārīḳh poshīda hai is meñ
ye talḳhī aur kaḌvāhaT kā mausam
ye sannāTā yahī to chāhtā hai
kisī dastak kisī aahaT kā mausam
kabhi hai shauq uksahaT ka mausam
kabhi be-nam uktahaT ka mausam
kabhi bundon ki kin-min ragni si
kabhi baadal ki ghurrahaT ka mausam
faqat nakaamiyon se kaam apna
ye mayusi mein jhallahaT ka mausam
koi tariKH poshida hai is mein
ye talKHi aur kaDwahaT ka mausam
ye sannaTa yahi to chahta hai
kisi dastak kisi aahaT ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.