kabhi halka kabhi gahra hamari aankh ka kajal
kabhi halka kabhi gahra hamari aankh ka kajal
Vibha Jain 'Khwaab'
MORE BYVibha Jain 'Khwaab'
kabhī halkā kabhī gahrā hamārī aañkh kā kājal
hamāre ġham se vābasta hamārī aañkh kā kājal
hamāre surḳh hoñToñ ke tale hai ik tilismī til
phir us par kaale jaadū sā hamārī aañkh kā kājal
ġhazal meñ baat hotī hai ġhazāl-āñkhoñ ke surme kī
koī phir kyoñ nahīñ likhtā hamārī aañkh kā kājal
batāo kab talak rastā take palkoñ kī chaukhaT par
tumhārī diid kā pyāsā hamārī aañkh kā kājal
hameñ to thā yaqīñ tum dukh samajh loge in āñkhoñ kā
magar tum ne faqat dekhā hamārī aañkh kā kājal
mohabbat hijr ḳhalvat dard lāchārī taḌap aañsū
hai shāhid sab kā iklautā hamārī aañkh kā kājal
kabhi halka kabhi gahra hamari aankh ka kajal
hamare gham se wabasta hamari aankh ka kajal
hamare surKH honTon ke tale hai ek tilismi til
phir us par kale jadu sa hamari aankh ka kajal
ghazal mein baat hoti hai ghazal-ankhon ke surme ki
koi phir kyon nahin likhta hamari aankh ka kajal
batao kab talak rasta take palkon ki chaukhaT par
tumhaari did ka pyasa hamari aankh ka kajal
hamein to tha yaqin tum dukh samajh loge in aankhon ka
magar tum ne faqat dekha hamari aankh ka kajal
mohabbat hijr KHalwat dard lachaari taDap aansu
hai shahid sab ka iklauta hamari aankh ka kajal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.