kabhi hans raha tha kabhi ga raha tha
kabhī hañs rahā thā kabhī gā rahā thā
mirā hausla thā jiye jā rahā thā
ye achchhā huā koī milne na aayā
maiñ ḳhud apne saa.e se katrā rahā thā
vo pahlī kiran sī mire āñsuoñ kī
mujhe apnā ik ḳhvāb yaad aa rahā thā
ka.ī aql kī gutthiyāñ thiiñ mirā dil
samajhtā na thā mujh ko samjhā rahā thā
usī par na.e phuul bhī khil rahe the
vahī shāḳh maiñ jis pe murjhā rahā thā
vo mujh se milā shaam ke vaqt jab maiñ
parindoñ ke hamrāh ghar jā rahā thā
kabhi hans raha tha kabhi ga raha tha
mera hausla tha jiye ja raha tha
ye achchha hua koi milne na aaya
main KHud apne sae se katra raha tha
wo pahli kiran si mere aansuon ki
mujhe apna ek KHwab yaad aa raha tha
kai aql ki gutthiyan thin mera dil
samajhta na tha mujh ko samjha raha tha
usi par nae phul bhi khil rahe the
wahi shaKH main jis pe murjha raha tha
wo mujh se mila sham ke waqt jab main
parindon ke hamrah ghar ja raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.