kabhi hawa to kabhi KHak-e-rahguzar hona
kabhī havā to kabhī ḳhāk-e-rahguzar honā
mire nasīb meñ likkhā hai dar-ba-dar honā
agar chalo to mire saath hī chalo lekin
kaThin safar se ziyāda hai ham-safar honā
udaas udaas ye dīvār-o-dar batāte haiñ
ki jaise raas na ho un ko merā ghar honā
qadam uThe bhī nahīñ aur safar tamām huā
ġhazab hai raah kā itnā bhī muḳhtasar honā
ye daur-e-kam-nazarāñ hai to phir hunar kā ziyāñ
jo ek baar na honā to beshtar honā
kabhi hawa to kabhi KHak-e-rahguzar hona
mere nasib mein likkha hai dar-ba-dar hona
agar chalo to mere sath hi chalo lekin
kaThin safar se ziyaada hai ham-safar hona
udas udas ye diwar-o-dar batate hain
ki jaise ras na ho un ko mera ghar hona
qadam uThe bhi nahin aur safar tamam hua
ghazab hai rah ka itna bhi muKHtasar hona
ye daur-e-kam-nazaran hai to phir hunar ka ziyan
jo ek bar na hona to beshtar hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.