kabhi hone se kabhi dukh ke na hone se hua
kabhī hone se kabhī dukh ke na hone se huā
ai mohabbat tujhe bas kaam hī rone se huā
ḳhud hī lauT aa.e to lauT aa.e mire dīda-e-tar
koī zanjīr kahāñ ashk pirone se huā
vo to rahtā hai kahīñ dil ke añdhere meñ magar
mujh pe raushan huā jo kuchh usī kone se huā
us kā mamnūn huuñ ab jis ne bhañvar meñ chhoḌā
itnā gahrā bhī to maiñ us ke Dubone se huā
kabhi hone se kabhi dukh ke na hone se hua
ai mohabbat tujhe bas kaam hi rone se hua
KHud hi lauT aae to lauT aae mere dida-e-tar
koi zanjir kahan ashk pirone se hua
wo to rahta hai kahin dil ke andhere mein magar
mujh pe raushan hua jo kuchh usi kone se hua
us ka mamnun hun ab jis ne bhanwar mein chhoDa
itna gahra bhi to main us ke Dubone se hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.