kabhi idhar jo sag-e-ku-e-yar aa nikla
kabhī idhar jo sag-e-kū-e-yār aa niklā
gumāñ huā mire vīrāne meñ humā niklā
ruḳh us kā dekh huā zard nayyar-e-āzam
sunahre burj se jis dam vo mah-laqā niklā
vo sun ke paak mohabbat kā naam kahte haiñ
hamārī jaan ko lo ye bhī pārsā niklā
hamāre paañv paḌe aa ke aable har gaam
kabhī jo dasht-e-junūñ meñ barahna-pā niklā
mah-e-siyām meñ aayā jo vo hilāl-abrū
gumāñ huā ye mujhe chāñd 'iid kā niklā
jahāñ kī sair to kī tū ne lekin ai shah-e-husn
kabhī faqīr ke takiye pe tū na aa niklā
na niklā vahm ke maare vo ghar se bhī 'sayyāh'
galī se yaar ke tābūt jab mirā niklā
kabhi idhar jo sag-e-ku-e-yar aa nikla
guman hua mere virane mein huma nikla
ruKH us ka dekh hua zard nayyar-e-azam
sunahre burj se jis dam wo mah-laqa nikla
wo sun ke pak mohabbat ka nam kahte hain
hamari jaan ko lo ye bhi parsa nikla
hamare panw paDe aa ke aable har gam
kabhi jo dasht-e-junun mein barahna-pa nikla
mah-e-siyam mein aaya jo wo hilal-abru
guman hua ye mujhe chand 'id ka nikla
jahan ki sair to ki tu ne lekin ai shah-e-husn
kabhi faqir ke takiye pe tu na aa nikla
na nikla wahm ke mare wo ghar se bhi 'sayyah'
gali se yar ke tabut jab mera nikla
- Book : Miyadad Khan Saiyyah (Pg. 66)
- Author : Saiyyed Zahiruddin Madni
- Publication : Gujrat Urdu Sahitya Acadami (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.