kabhi jab muddaton ke baad us ka samna hoga
kabhī jab muddatoñ ke ba.ad us kā sāmnā hogā
sivā.e paas ādāb-e-takalluf aur kyā hogā
yahāñ vo kaun hai jo intiḳhāb-e-ġham pe qādir ho
jo mil jaa.e vahī ġham dostoñ kā mudda.ā hogā
naved-e-sar-ḳhushī jab aa.egī us vaqt tak shāyad
hameñ zahr-e-ġham-e-hastī gavārā ho chukā hogā
salīb-e-vaqt par maiñ ne pukārā thā mohabbat ko
mirī āvāz jis ne bhī sunī hogī hañsā hogā
abhī ik shor-e-hā-o-hū sunā hai sārbānoñ ne
vo pāgal qāfile kī zid meñ pīchhe rah gayā hogā
hamāre shauq ke āsūda-o-ḳhush-hāl hone tak
tumhāre āriz-o-gesū kā saudā ho chukā hogā
navā.eñ nik.hateñ āsūda chehre dil-nashīñ rishte
magar ik shaḳhs is māhaul meñ kyā sochtā hogā
hañsī aatī hai mujh ko maslahat ke in taqāzoñ par
ki ab ik ajnabī ban kar use pahchānñā hogā
dalīloñ se davā kā kaam lenā saḳht mushkil hai
magar is ġham kī ḳhātir ye hunar bhī sīkhnā hogā
vo munkir hai to phir shāyad har ik maktūb-e-shauq us ne
sar-añgusht-e-hinā.ī se ḳhalāoñ meñ likhā hogā
hai nisf-e-shab vo dīvāna abhī tak ghar nahīñ aayā
kisī se chāñdnī rātoñ kā qissa chhiḌ gayā hogā
sabā shikvā hai mujh ko un darīchoñ se darīchoñ se
darīchoñ meñ to dīmak ke sivā ab aur kyā hogā
kabhi jab muddaton ke baad us ka samna hoga
siwae pas aadab-e-takalluf aur kya hoga
yahan wo kaun hai jo intiKHab-e-gham pe qadir ho
jo mil jae wahi gham doston ka muddaa hoga
nawed-e-sar-KHushi jab aaegi us waqt tak shayad
hamein zahr-e-gham-e-hasti gawara ho chuka hoga
salib-e-waqt par main ne pukara tha mohabbat ko
meri aawaz jis ne bhi suni hogi hansa hoga
abhi ek shor-e-ha-o-hu suna hai sarbanon ne
wo pagal qafile ki zid mein pichhe rah gaya hoga
hamare shauq ke aasuda-o-KHush-haal hone tak
tumhaare aariz-o-gesu ka sauda ho chuka hoga
nawaen nikhaten aasuda chehre dil-nashin rishte
magar ek shaKHs is mahaul mein kya sochta hoga
hansi aati hai mujh ko maslahat ke in taqazon par
ki ab ek ajnabi ban kar use pahchanna hoga
dalilon se dawa ka kaam lena saKHt mushkil hai
magar is gham ki KHatir ye hunar bhi sikhna hoga
wo munkir hai to phir shayad har ek maktub-e-shauq us ne
sar-angusht-e-hinai se KHalaon mein likha hoga
hai nisf-e-shab wo diwana abhi tak ghar nahin aaya
kisi se chandni raaton ka qissa chhiD gaya hoga
saba shikwa hai mujh ko un darichon se darichon se
darichon mein to dimak ke siwa ab aur kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.