kabhi jo KHat mujhe likhna mohabbaten likhna
kabhī jo ḳhat mujhe likhnā mohabbateñ likhnā
burā shugūn hai har dam shikāyateñ likhnā
ye ziist aur bhī nikhregī pyaar karne se
jo mere hijr meñ guzrīñ qayāmateñ likhnā
taqāza tum se karūñgī to ruuTh jāoge
pasand kab hai mujhe bhī shikāyateñ likhnā
tum aate jaate raho ye bahut hai mere liye
na aa sako jo kabhī tum qabāhateñ likhnā
tum apne sheroñ meñ vo zinda lafz likho 'ġhazal'
mohabbatoñ se hoñ paidā karāmateñ likhnā
kabhi jo KHat mujhe likhna mohabbaten likhna
bura shugun hai har dam shikayaten likhna
ye zist aur bhi nikhregi pyar karne se
jo mere hijr mein guzrin qayamaten likhna
taqaza tum se karungi to ruTh jaoge
pasand kab hai mujhe bhi shikayaten likhna
tum aate jate raho ye bahut hai mere liye
na aa sako jo kabhi tum qabahaten likhna
tum apne sheron mein wo zinda lafz likho 'ghazal'
mohabbaton se hon paida karamaten likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.