kabhi jo KHatm na ho aisi tazgi de di
kabhī jo ḳhatm na ho aisī tāzgī de dī
tirī vafā ne na.ī mujh ko zindagī de dī
hamāre paas thā kyā aur matā-e-dil ke sivā
tire savāl pe vo bhī ḳhushī ḳhushī de dī
vo shaḳhs kaun thā jis ke ḳhulūs-e-paiham ne
mirī hayāt ko sūraj sī raushnī de dī
ajiib baat hai jis ne hayāt māñgī thī
use to maut milī mujh ko zindagī de dī
maiñ apne daur se kis darja sharmsār rahe
ġhazab kiyā mujhe irfān-o-āgahī de dī
taḌap taḌap ke jiye jis ke pyaar meñ 'afshāñ'
usī kī yaad meñ lo aaj jaan bhī de dī
kabhi jo KHatm na ho aisi tazgi de di
teri wafa ne nai mujh ko zindagi de di
hamare pas tha kya aur mata-e-dil ke siwa
tere sawal pe wo bhi KHushi KHushi de di
wo shaKHs kaun tha jis ke KHulus-e-paiham ne
meri hayat ko suraj si raushni de di
ajib baat hai jis ne hayat mangi thi
use to maut mili mujh ko zindagi de di
main apne daur se kis darja sharmsar rahe
ghazab kiya mujhe irfan-o-agahi de di
taDap taDap ke jiye jis ke pyar mein 'afshan'
usi ki yaad mein lo aaj jaan bhi de di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.