kabhi jo meri kalpnaon mein tha
kabhī jo merī kalpnāoñ meñ thā
vahī rang chāroñ dishāoñ meñ thā
vahī ḳhauf sannāTā be-chehragī
jo shahroñ meñ dekhā vo gaaoñ meñ thā
bichhaḌ kar sabhoñ se huā mutma.in
vo rishtoñ kī jaltī chitāoñ meñ thā
muravvat na.e aadmī meñ kahāñ
vo ‘unsur purānī kathāoñ meñ thā
jahāñ ḳhush-libāsī kā manzar milā
vahāñ dukh sabhī ātmāoñ meñ thā
kahāñ ruuh meñ us kī thā vo ḳhulūs
jo us ke badan kī adāoñ meñ thā
kabhi jo meri kalpnaon mein tha
wahi rang chaaron dishaon mein tha
wahi KHauf sannaTa be-chehragi
jo shahron mein dekha wo gaon mein tha
bichhaD kar sabhon se hua mutmain
wo rishton ki jalti chitaon mein tha
murawwat nae aadmi mein kahan
wo ‘unsur purani kathaon mein tha
jahan KHush-libasi ka manzar mila
wahan dukh sabhi aatmaon mein tha
kahan ruh mein us ki tha wo KHulus
jo us ke badan ki adaon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.