kabhi kabhi meri hairat baDha bhi deta hai
kabhī kabhī mirī hairat baḌhā bhī detā hai
ki aa.ina mujhe tum se milā bhī detā hai
ḳhudā rakhe mire siine meñ hai jo rauzan-e-zaḳhm
ziyā bhī detā hai shab bhar havā bhī detā hai
nazar rakkheñ to barābar rakkheñ ġham-e-dil par
ye dil vagarna nazar se girā bhī detā hai
sitāra kholtā hai mujh pe merā ghar sar-e-shām
aur ik charāġh kā mujh ko pata bhī detā hai
burā huā ki ham aa baiThe sāya-e-dil meñ
ḳhabar na thī ki ye saaya jalā bhī detā hai
kabhi kabhi meri hairat baDha bhi deta hai
ki aaina mujhe tum se mila bhi deta hai
KHuda rakhe mere sine mein hai jo rauzan-e-zaKHm
ziya bhi deta hai shab bhar hawa bhi deta hai
nazar rakkhen to barabar rakkhen gham-e-dil par
ye dil wagarna nazar se gira bhi deta hai
sitara kholta hai mujh pe mera ghar sar-e-sham
aur ek charagh ka mujh ko pata bhi deta hai
bura hua ki hum aa baiThe saya-e-dil mein
KHabar na thi ki ye saya jala bhi deta hai
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 102)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.