kabhi kabhi teri chahat pe ye guman guzra
kabhī kabhī tirī chāhat pe ye gumāñ guzrā
ki jaise sar se sitāroñ kā sā.ebāñ guzrā
charāġh aise jalā kar bujhā gayā koī
tamām diid kā aalam dhuāñ dhuāñ guzrā
junūn-e-shauq meñ sajdoñ kī aabrū bhī ga.ī
mujhe ḳhabar na huī kab vo āstāñ guzrā
vo merā vahm-e-nazar thā ki terā aks-e-jamīl
vo kaun thā ki jo manzar ke darmiyāñ guzrā
bichhaḌ ke shaam rahī tūl-e-umr tak goyā
Thahar gayā thā jo lamha vo phir kahāñ guzrā
mujhe to chashm-e-gurezāñ bhī iltifāt lagī
tire sitam pe bhī īsār kā gumāñ guzrā
chhupā ke so ga.ī muñh din meñ rahguzār-e-firāq
jo shab huī to ḳhayāloñ kā kārvāñ guzrā
kabhi kabhi teri chahat pe ye guman guzra
ki jaise sar se sitaron ka saeban guzra
charagh aise jala kar bujha gaya koi
tamam did ka aalam dhuan dhuan guzra
junun-e-shauq mein sajdon ki aabru bhi gai
mujhe KHabar na hui kab wo aastan guzra
wo mera wahm-e-nazar tha ki tera aks-e-jamil
wo kaun tha ki jo manzar ke darmiyan guzra
bichhaD ke sham rahi tul-e-umr tak goya
Thahar gaya tha jo lamha wo phir kahan guzra
mujhe to chashm-e-gurezan bhi iltifat lagi
tere sitam pe bhi isar ka guman guzra
chhupa ke so gai munh din mein rahguzar-e-firaq
jo shab hui to KHayalon ka karwan guzra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.