kabhi kabhi yun bhi humne apne ji ko bahlaya hai
kabhī kabhī yuuñ bhī ham ne apne jī ko bahlāyā hai
jin bātoñ ko ḳhud nahīñ samjhe auroñ ko samjhāyā hai
ham se pūchho izzat vāloñ kī izzat kā haal kabhī
ham ne bhī ik shahr meñ rah kar thoḌā naam kamāyā hai
us ko bhūle barsoñ guzre lekin aaj na jaane kyuuñ
āñgan meñ hañste bachchoñ ko be-kāran dhamkāyā hai
us bastī se chhuT kar yuuñ to har chehre ko yaad kiyā
jis se thoḌī sī an-ban thī vo aksar yaad aayā hai
koī milā to haath milāyā kahīñ ga.e to bāteñ kiiñ
ghar se bāhar jab bhī nikle din bhar bojh uThāyā hai
kabhi kabhi yun bhi hum ne apne ji ko bahlaya hai
jin baaton ko KHud nahin samjhe auron ko samjhaya hai
hum se puchho izzat walon ki izzat ka haal kabhi
hum ne bhi ek shahr mein rah kar thoDa nam kamaya hai
us ko bhule barson guzre lekin aaj na jaane kyun
aangan mein hanste bachchon ko be-karan dhamkaya hai
us basti se chhuT kar yun to har chehre ko yaad kiya
jis se thoDi si an-ban thi wo aksar yaad aaya hai
koi mila to hath milaya kahin gae to baaten kin
ghar se bahar jab bhi nikle din bhar bojh uThaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.