kabhi kapDe badalta hai kabhi lahja badalta hai
kabhī kapḌe badaltā hai kabhī lahja badaltā hai
magar in koshishoñ se kyā kahīñ shajra badaltā hai
tumhāre baad ab jis kā bhī jī chāhe mujhe rakh le
janāza apnī marzī se kahāñ kāñdhā badaltā hai
rihā.ī mil to jaatī hai parinde ko magar itnī
safā.ī kī ġharaz se jab kabhī piñjra badaltā hai
mirī āñkhoñ ko pahlī āḳhirī had hai tirā chehra
nahīñ maiñ vo nahīñ jo roz ā.īna badaltā hai
ajab ziddī musavvir hai zarā pahchān kī ḳhātir
mirī tasvīr kā har roz vo chehra badaltā hai
kabhi kapDe badalta hai kabhi lahja badalta hai
magar in koshishon se kya kahin shajra badalta hai
tumhaare baad ab jis ka bhi ji chahe mujhe rakh le
janaza apni marzi se kahan kandha badalta hai
rihai mil to jati hai parinde ko magar itni
safai ki gharaz se jab kabhi pinjra badalta hai
meri aankhon ko pahli aaKHiri had hai tera chehra
nahin main wo nahin jo roz aaina badalta hai
ajab ziddi musawwir hai zara pahchan ki KHatir
meri taswir ka har roz wo chehra badalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.