kabhi KHak mein lash Dhak jaegi
kabhī ḳhaak meñ laash Dhak jā.egī
añdhere meñ haDDī chamak jā.egī
mirā hashr ye hai ki ik chhipkalī
mire zehn se hī chipak jā.egī
koī raah paa.e na paa.e magar
havā pāniyoñ ko thapak jā.egī
na vo mujh se itnā qarīb aa.egā
na merī sadā duur tak jā.egī
qadam jitnā aage hai pīchhe bhī hai
ḳhud apne hī andar saḌak jā.egī
ḳhudā ban ga.ī hai gaDariye kī soch
koī bheḌ kaise bhaTak jā.egī
kabhi KHak mein lash Dhak jaegi
andhere mein haDDi chamak jaegi
mera hashr ye hai ki ek chhipkali
mere zehn se hi chipak jaegi
koi rah pae na pae magar
hawa paniyon ko thapak jaegi
na wo mujh se itna qarib aaega
na meri sada dur tak jaegi
qadam jitna aage hai pichhe bhi hai
KHud apne hi andar saDak jaegi
KHuda ban gai hai gaDariye ki soch
koi bheD kaise bhaTak jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.