kabhi KHud ko kabhi KHwabon ko sada dete hain
kabhī ḳhud ko kabhī ḳhvāboñ ko sadā dete haiñ
kaisī dīvār uThāte haiñ girā dete haiñ
aao do chaar qadam chal ke bhī dekheñ yaaro
ham-safar apne kahāñ ham ko daġhā dete haiñ
jaane kyā soch ke ai dost ye arbāb-e-chaman
zahr-pāshī se vo paudoñ ko jalā dete haiñ
ye guzargāh ke patthar tirī Thokar meñ sahī
har qadam par tujhe manzil kā patā dete haiñ
ye vo duniyā hai jahāñ jhuuT chhupāne ke liye
log sachchā.ī ko suulī pe chaḌhā dete haiñ
jab bhī aate haiñ use chhū ke havā ke jhoñke
dil ke so.e hue jazbāt jagā dete haiñ
dūr-o-nazdīk ye sannāToñ ke gahre saa.e
aane vaale kisī tūfāñ kā pata dete haiñ
kabhi KHud ko kabhi KHwabon ko sada dete hain
kaisi diwar uThate hain gira dete hain
aao do chaar qadam chal ke bhi dekhen yaro
ham-safar apne kahan hum ko dagha dete hain
jaane kya soch ke ai dost ye arbab-e-chaman
zahr-pashi se wo paudon ko jala dete hain
ye guzargah ke patthar teri Thokar mein sahi
har qadam par tujhe manzil ka pata dete hain
ye wo duniya hai jahan jhuT chhupane ke liye
log sachchai ko suli pe chaDha dete hain
jab bhi aate hain use chhu ke hawa ke jhonke
dil ke soe hue jazbaat jaga dete hain
dur-o-nazdik ye sannaTon ke gahre sae
aane wale kisi tufan ka pata dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.