kabhi KHwabon mein mila wo to KHayalon mein kabhi
kabhī ḳhvāboñ meñ milā vo to ḳhayāloñ meñ kabhī
raah chalte na milā din ke ujāloñ meñ kabhī
zindagī ham se to is darja taġhāful na barat
ham bhī shāmil the tire chāhne vāloñ meñ kabhī
jin kā ham aaj talak pā na sake koī javāb
ḳhud ko DhūñDā kiye un talḳh savāloñ meñ kabhī
thoḌī rusvā.ī tumhārī bhī to hogī yaaro
chhap ga.e sher hamāre jo risāloñ meñ kabhī
kabhi KHwabon mein mila wo to KHayalon mein kabhi
rah chalte na mila din ke ujalon mein kabhi
zindagi hum se to is darja taghaful na barat
hum bhi shamil the tere chahne walon mein kabhi
jin ka hum aaj talak pa na sake koi jawab
KHud ko DhunDa kiye un talKH sawalon mein kabhi
thoDi ruswai tumhaari bhi to hogi yaro
chhap gae sher hamare jo risalon mein kabhi
- Book : Junoon (Pg. 15)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.