kabhi koi rona kabhi koi rona
kabhī koī ronā kabhī koī ronā
kabhī ek mātam kabhī ek mātam
na kyuuñ dil se bāteñ kareñ ham musalsal
yahī ek monis yahī ek hamdam
hameñ ḳhauf aatā hai ab dostī se
magar aap irshād kar deñ to sar ḳham
bhalā shaiḳh-sāhab hameñ kyuuñ pilā.eñ
baḌī mushkiloñ se huī hai farāham
use ġhaur se dekhnā chāhtā huuñ
zamāne kī gardish zarā ruk zarā tham
mirī tarah haukā nahīñ shaiḳh-jī ko
lihāzā vo ye shauq karte haiñ kam-kam
'shu.ūr' ik din pesh honā paḌegā
kahāñ tak bachoge azīz-e-mukarram
kabhi koi rona kabhi koi rona
kabhi ek matam kabhi ek matam
na kyun dil se baaten karen hum musalsal
yahi ek monis yahi ek hamdam
hamein KHauf aata hai ab dosti se
magar aap irshad kar den to sar KHam
bhala shaiKH-sahab hamein kyun pilaen
baDi mushkilon se hui hai faraham
use ghaur se dekhna chahta hun
zamane ki gardish zara ruk zara tham
meri tarah hauka nahin shaiKH-ji ko
lihaza wo ye shauq karte hain kam-kam
'shuur' ek din pesh hona paDega
kahan tak bachoge aziz-e-mukarram
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.