kabhi masjid kabhi mandir se uTha
kabhī masjid kabhī mandir se uThā
ik savālī thā tire dar se uThā
jab bujhā dil meñ charāġh-e-ummīd
ik dhuāñ sā mire andar se uThā
chāñdnī rū-e-zamīñ par phailī
shor tūfāñ kā samundar se uThā
jab luTī apnī matā-e-hastī
ek sho'la sā mire ghar se uThā
vo bhī ik na.ara-e-mastāna thā
jo mire sāya-e-paikar se uThā
kis qayāmat kī ye añgḌā.ī hai
nashsha sā bāda-o-sāġhar se uThā
us kā paikar kabhī mānind-e-salīb
mere har ḳhvāb ke mehvar se uThā
dair meñ jab bhī uThā hai fitna
sanad-e-ḳhair se yā shar se uThā
merī pahchān hai mujh se qaa.em
har-nafas apne hī mehvar se uThā
maiñ jo ik sho.ala-navā shā'ir huuñ
be-sadā bazm-e-suḳhanvar se uThā
kabhi masjid kabhi mandir se uTha
ek sawali tha tere dar se uTha
jab bujha dil mein charagh-e-ummid
ek dhuan sa mere andar se uTha
chandni ru-e-zamin par phaili
shor tufan ka samundar se uTha
jab luTi apni mata-e-hasti
ek sho'la sa mere ghar se uTha
wo bhi ek nara-e-mastana tha
jo mere saya-e-paikar se uTha
kis qayamat ki ye angDai hai
nashsha sa baada-o-saghar se uTha
us ka paikar kabhi manind-e-salib
mere har KHwab ke mehwar se uTha
dair mein jab bhi uTha hai fitna
sanad-e-KHair se ya shar se uTha
meri pahchan hai mujh se qaem
har-nafas apne hi mehwar se uTha
main jo ek shoala-nawa sha'ir hun
be-sada bazm-e-suKHanwar se uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.