kabhi milega to teri aankhon mein dekhna hai
kabhī milegā to terī āñkhoñ meñ dekhnā hai
hayā kā paanī nibaT gayā yā bachā huā hai
dikhā rahā hai ki ġham nahīñ hai tujhe bichhaḌ kar
tū kitnā andar sisak rahā hai mujhe pata hai
maiñ aisī pāgal ki ab bhī sapne sajā rahī huuñ
tū aisā ziddī na jaane kab kā mukar gayā hai
jo chāhte haiñ nibāh vo to nibhā rahe haiñ
aur ek tū hai qasam uThā kar palaT rahā hai
tirī hī ḳhātir ḳhudā se maiñ bhī duā karūñgī
tujhe vo sab kuchh mile jo tū ne mujhe diyā hai
kabhi milega to teri aankhon mein dekhna hai
haya ka pani nibaT gaya ya bacha hua hai
dikha raha hai ki gham nahin hai tujhe bichhaD kar
tu kitna andar sisak raha hai mujhe pata hai
main aisi pagal ki ab bhi sapne saja rahi hun
tu aisa ziddi na jaane kab ka mukar gaya hai
jo chahte hain nibah wo to nibha rahe hain
aur ek tu hai qasam uTha kar palaT raha hai
teri hi KHatir KHuda se main bhi dua karungi
tujhe wo sab kuchh mile jo tu ne mujhe diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.