kabhi milenge to ye qarz bhi utarenge
kabhī mileñge to ye qarz bhī utāreñge
tumhāre chehre ko pairoñ talak nihāreñge
divāne sar ko tirī chaukhaToñ pe māreñge
par apnā ġhussa ġhazal par nahīñ utāreñge
bas ek jaan bachī hai so tujh pe vāreñge
ham ek jang tujhe jītne meñ hāreñge
ye kyā sitam ke khilāḌī badal diyā us ne
ham is umiid pe baiThe the ham hī hāreñge
ai merī jaan inheñ sach kā to pata hai magar
ye log tere haiñ patthar mujhī ko māreñge
hamāre ba.ad tire ishq meñ na.e laḌke
badan to chūmeñge zulfeñ nahīñ sañvāreñge
kabhi milenge to ye qarz bhi utarenge
tumhaare chehre ko pairon talak nihaarenge
diwane sar ko teri chaukhaTon pe marenge
par apna ghussa ghazal par nahin utarenge
bas ek jaan bachi hai so tujh pe warenge
hum ek jang tujhe jitne mein haarenge
ye kya sitam ke khilaDi badal diya us ne
hum is umid pe baiThe the hum hi haarenge
ai meri jaan inhen sach ka to pata hai magar
ye log tere hain patthar mujhi ko marenge
hamare baad tere ishq mein nae laDke
badan to chumenge zulfen nahin sanwarenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.