kabhi miloge jo dil ke kabir logon se
kabhī miloge jo dil ke kabīr logoñ se
to bhuul jāoge milnā amiir logoñ se
har ek shaḳhs se apnī bane to kaise bane
hai kuchh alag sā hamārā ḳhamīr logoñ se
jo un ke dil ko dukhāyā to hogā rab nārāz
sadā duā.eñ hī lenā faqīr logoñ se
jo haal jānñā chāho qafas ke panchhī kā
to mil ke dekh lo ik din asiir logoñ se
jo be-zamīr haiñ un se nahīñ hai rabt mirā
hamesha miltā huuñ maiñ bā-zamīr logoñ se
unheñ ġhurūr se fursat kabhī nahīñ miltī
vo kaise baat kareñ ham haqīr logoñ se
ye soch soch ke 'āsim' kā dil laraztā hai
ki kaise milte haiñ munkir-nakīr logoñ se
kabhi miloge jo dil ke kabir logon se
to bhul jaoge milna amir logon se
har ek shaKHs se apni bane to kaise bane
hai kuchh alag sa hamara KHamir logon se
jo un ke dil ko dukhaya to hoga rab naraaz
sada duaen hi lena faqir logon se
jo haal jaanna chaho qafas ke panchhi ka
to mil ke dekh lo ek din asir logon se
jo be-zamir hain un se nahin hai rabt mera
hamesha milta hun main ba-zamir logon se
unhen ghurur se fursat kabhi nahin milti
wo kaise baat karen hum haqir logon se
ye soch soch ke 'asim' ka dil larazta hai
ki kaise milte hain munkir-nakir logon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.