kabhi patthar tha ab main aaina hun
kabhī patthar thā ab maiñ aa.ina huuñ
koī dekhe ki kyā thā aur kyā huuñ
zamāna kar rahā hai ġhaur jis par
vo ik nuqta kitāb-e-zīst kā huuñ
sukūt-e-āb par tahrīr paḌhnā
maiñ ik chhoTā sā kankar pheñktā huuñ
mujhe jitnā tapāyā jā rahā hai
maiñ utnā hī chamaktā jā rahā huuñ
gumāñ hone lagā hai hādse kā
bahut ūñchī imārat par khaḌā huuñ
kabhi patthar tha ab main aaina hun
koi dekhe ki kya tha aur kya hun
zamana kar raha hai ghaur jis par
wo ek nuqta kitab-e-zist ka hun
sukut-e-ab par tahrir paDhna
main ek chhoTa sa kankar phenkta hun
mujhe jitna tapaya ja raha hai
main utna hi chamakta ja raha hun
guman hone laga hai hadse ka
bahut unchi imarat par khaDa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.