kabhi pukar ke dekha kabhi bulae to
kabhī pukār ke dekhā kabhī bulā.e to
hudūd-e-zāt se aage nikal ke aa.e to
pilā rahā hai nigāhoñ ko tīrgī kā lahū
fasīl-e-jāñ pe vo koī diyā jalā.e to
sajā.e rakkhūñgī apne gumān kī duniyā
mire yaqīn kī manzil pe koī aa.e to
ye āñkheñ niiñd ko tarsī huī haiñ muddat se
vo ḳhvāb-zār-e-shabistāñ koī dikhā.e to
ġhurūr ishq ke ādāb siikh jā.egā
kabhī vo ruuTh ke dekhe kabhī manā.e to
havā kī chaap meñ shāmil haiñ āhaTeñ us kī
salīqa dil ko dhaḌakne kā bhī sikhā.e to
kabhi pukar ke dekha kabhi bulae to
hudud-e-zat se aage nikal ke aae to
pila raha hai nigahon ko tirgi ka lahu
fasil-e-jaan pe wo koi diya jalae to
sajae rakkhungi apne guman ki duniya
mere yaqin ki manzil pe koi aae to
ye aankhen nind ko tarsi hui hain muddat se
wo KHwab-zar-e-shabistan koi dikhae to
ghurur ishq ke aadab sikh jaega
kabhi wo ruTh ke dekhe kabhi manae to
hawa ki chap mein shamil hain aahaTen us ki
saliqa dil ko dhaDakne ka bhi sikhae to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.