kabhi ranj-o-gham to kabhi be-kasi hai
kabhi ranj-o-gham to kabhi be-kasi hai
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
kabhī ranj-o-ġham to kabhī be-kasī hai
mirī zindagī bhī ajab zindagī hai
gila kyā karūñ un ke zor-e-sitam kā
hamesha se un kī ye aadat rahī hai
mohabbat meñ jiinā mohabbat meñ marnā
mirī zindagī kā aqīda yahī hai
huā kyā hai āḳhir hameñ bhī patā ho
bhalā ham se kyoñ aaj ye be-ruḳhī ho
agarche ġham-e-dahr kā sāmnā hai
magar mere hoñToñ pe phir bhī hañsī hai
bayāñ kyā karūñ kaifiyat dil kī 'āsī'
mohabbat meñ ab jaan par aa banī hai
kabhi ranj-o-gham to kabhi be-kasi hai
meri zindagi bhi ajab zindagi hai
gila kya karun un ke zor-e-sitam ka
hamesha se un ki ye aadat rahi hai
mohabbat mein jina mohabbat mein marna
meri zindagi ka aqida yahi hai
hua kya hai aaKHir hamein bhi pata ho
bhala hum se kyon aaj ye be-ruKHi ho
agarche gham-e-dahr ka samna hai
magar mere honTon pe phir bhi hansi hai
bayan kya karun kaifiyat dil ki 'asi'
mohabbat mein ab jaan par aa bani hai
- Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 55)
- Author : ودیا رتن آسی
- Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.