kabhi salib ki surat kabhi hilali tha
kabhī salīb kī sūrat kabhī hilālī thā
mirī nigāh meñ ik paikar-e-ḳhayālī thā
hamārī aap kī shāyad koī misāl nahīñ
jo mar gayā hai vahī aadmī misālī thā
ka.ī patañg kī sūrat ḳhalā meñ Duub gayā
vo jitnā tez thā itnā hī lā-ubālī thā
uḌā aur uḌ ke fazāoñ meñ ho gayā tahlīl
badan ke bojh se us kā vajūd ḳhālī thā
vo toḌ letā thā patte havā kī shāḳhoñ se
kamāl us kā haqīqat meñ be-kamālī thā
banā huā thā jo shahr-e-vafā kā shahzāda
vo maiñ nahīñ thā mirā zauq-e-ḳhush-jamālī thā
maiñ chhuptā phirtā thā shahroñ meñ kohsāroñ meñ
vo ek shaḳhs magar har jagah savālī thā
paḌā thā raah meñ jo sañg-e-mīl se aage
vo apne vaqt kā 'farhat' nahīñ ġhazālī thā
kabhi salib ki surat kabhi hilali tha
meri nigah mein ek paikar-e-KHayali tha
hamari aap ki shayad koi misal nahin
jo mar gaya hai wahi aadmi misali tha
kai patang ki surat KHala mein Dub gaya
wo jitna tez tha itna hi la-ubaali tha
uDa aur uD ke fazaon mein ho gaya tahlil
badan ke bojh se us ka wajud KHali tha
wo toD leta tha patte hawa ki shaKHon se
kamal us ka haqiqat mein be-kamali tha
bana hua tha jo shahr-e-wafa ka shahzada
wo main nahin tha mera zauq-e-KHush-jamali tha
main chhupta phirta tha shahron mein kohsaron mein
wo ek shaKHs magar har jagah sawali tha
paDa tha rah mein jo sang-e-mil se aage
wo apne waqt ka 'farhat' nahin ghazali tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.