kabhi shaKHon pe baiThenge kabhi diwar par panchhi
kabhī shāḳhoñ pe baiTheñge kabhī dīvār par panchhī
kahāñ ḳhvāhish pe aate haiñ sar-e-shāḳh-e-shajar panchhī
banā kar ghoñsla nanhā sā aksar shāḳh par panchhī
bashar dekhe ḳhushī se jhūmte haiñ kis qadar panchhī
kisī kī āmad-e-ḳhush-kun kā muzhda kaun detā hai
banere boltā kaagā na ab vo ḳhush-ḳhabar panchhī
maiñ kaise dil ko samjhā.ūñ ruteñ vo ho ga.iiñ ruḳhsat
hasīñ jhūle ḳhunuk saaya samar shīrīñ shajar panchhī
shajar kī Tahniyāñ jhūle fazā.eñ rah-guzar un kī
nazar aate haiñ kaise Daar meñ shīr-o-shakar panchhī
payām-e-shauq pahuñchā yuuñ dayār-e-yār tak 'akram'
kabhī dast-e-sabā qāsid kabhī ye nāma-bar panchhī
kabhi shaKHon pe baiThenge kabhi diwar par panchhi
kahan KHwahish pe aate hain sar-e-shaKH-e-shajar panchhi
bana kar ghonsla nanha sa aksar shaKH par panchhi
bashar dekhe KHushi se jhumte hain kis qadar panchhi
kisi ki aamad-e-KHush-kun ka muzhda kaun deta hai
banere bolta kaga na ab wo KHush-KHabar panchhi
main kaise dil ko samjhaun ruten wo ho gain ruKHsat
hasin jhule KHunuk saya samar shirin shajar panchhi
shajar ki Tahniyan jhule fazaen rah-guzar un ki
nazar aate hain kaise Dar mein shir-o-shakar panchhi
payam-e-shauq pahuncha yun dayar-e-yar tak 'akram'
kabhi dast-e-saba qasid kabhi ye nama-bar panchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.