kabhi subh likh aur kabhi sham likh
kabhī sub.h likh aur kabhī shaam likh
magar har safhe par mirā naam likh
sajā kar jise umr bhar rakh sakūñ
koī aisā ruq.a mire naam likh
jo gumnām haiñ un ko mash.hūr kar
jo mash.hūr haiñ un ko gumnām likh
varaq biich kā hī bahut hai miyāñ
na āġhāz likh aur na anjām likh
hai jehd-e-musalsal hī īmāñ magar
koī dam ko thoḌā sā ārām likh
ḳhudī ho magar ḳhud-numā.ī na ho
kuchh aisā hī 'mansūr' paiġhām likh
yūñhī surḳh-rū hogā 'mansūr' tū
mire māthe saare hī ilzām likh
kabhi subh likh aur kabhi sham likh
magar har safhe par mera nam likh
saja kar jise umr bhar rakh sakun
koi aisa ruqa mere nam likh
jo gumnam hain un ko mashhur kar
jo mashhur hain un ko gumnam likh
waraq bich ka hi bahut hai miyan
na aaghaz likh aur na anjam likh
hai jehd-e-musalsal hi iman magar
koi dam ko thoDa sa aaram likh
KHudi ho magar KHud-numai na ho
kuchh aisa hi 'mansur' paigham likh
yunhi surKH-ru hoga 'mansur' tu
mere mathe sare hi ilzam likh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.