kabhi surur-e-be-KHudi kabhi surur-e-agahi
kabhī surūr-e-be-ḳhudī kabhī surūr-e-āgahī
haqīqatoñ kā vāsta 'ajīb shai hai zindagī
tirā ḳhayāl de gayā hai aasrā kahīñ kahīñ
tirā firāq hausle baḌhā gayā kabhī kabhī
isī meñ kuchh sukūn hai shu'ūr-e-ġham kā saath deñ
yahī ḳhushī kī baat hai chale chaleñ ḳhushī ḳhushī
hazār TūTte ga.e tilism rūp-rañg ke
magar na chain se rahā mirā shi.ār-e-but-garī
chaman meñ kaun dekhiye sahar kī taab lā sake
ye raat bhar kī os meñ nahā ga.ī kalī kalī
guzar ga.e usī taraf se irtiqā ke qāfile
magar usī dayār meñ luTā ḳhulūs-e-ādmī
vo merā āshiyāñ hī kyā tamām aag thī lagī
yahī kaho ki bach ga.ī chaman kī phuul pankhuḌī
qarīb-e-sub.h kyā kahūñ 'ajīb ik havā chalī
jhukī har ek shāḳh-e-gul kalī kī aañkh lag ga.ī
hai chāk-e-gul kā mājrā jarāhatoñ kā silsila
vo zaḳhm phir na bhar sakā girī jahāñ se pankhuḌī
'shahāb'-e-nukta-sanj ne rakhā hai saiñt saiñt ke
salīqa-e-kalām kī jo saakh hai rahī-sahī
kabhi surur-e-be-KHudi kabhi surur-e-agahi
haqiqaton ka wasta 'ajib shai hai zindagi
tera KHayal de gaya hai aasra kahin kahin
tera firaq hausle baDha gaya kabhi kabhi
isi mein kuchh sukun hai shu'ur-e-gham ka sath den
yahi KHushi ki baat hai chale chalen KHushi KHushi
hazar TuTte gae tilism rup-rang ke
magar na chain se raha mera shiar-e-but-gari
chaman mein kaun dekhiye sahar ki tab la sake
ye raat bhar ki os mein naha gai kali kali
guzar gae usi taraf se irtiqa ke qafile
magar usi dayar mein luTa KHulus-e-admi
wo mera aashiyan hi kya tamam aag thi lagi
yahi kaho ki bach gai chaman ki phul pankhuDi
qarib-e-subh kya kahun 'ajib ek hawa chali
jhuki har ek shaKH-e-gul kali ki aankh lag gai
hai chaak-e-gul ka majra jarahaton ka silsila
wo zaKHm phir na bhar saka giri jahan se pankhuDi
'shahab'-e-nukta-sanj ne rakha hai saint saint ke
saliqa-e-kalam ki jo sakh hai rahi-sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.