kabhi suraj ko baadal aur ghaTaen bojh lagti hain
kabhī sūraj ko bādal aur ghaTā.eñ bojh lagtī haiñ
kabhī bujhte charāġhoñ ko havā.eñ bojh lagtī haiñ
kabhī yuuñ thā ki aatā thā bhañvar se ḳhauf logoñ ko
kabhī in bādbānoñ kī vafā.eñ bojh lagtī haiñ
bahut nārāz hai mujh se mirī shah-rag kā ham-sāya
jise chhoTī-baḌī merī ḳhatā.eñ bojh lagtī haiñ
sahāre bhuul jaate haiñ asīr-e-ārzū ho kar
javāñ aulād ho jaa.e to maa.eñ bojh lagtī haiñ
kuchh aise log haiñ rishtoñ pe jo jaañ vaar dete haiñ
ye aise log haiñ jin ko anā.eñ bojh lagtī haiñ
kabhi suraj ko baadal aur ghaTaen bojh lagti hain
kabhi bujhte charaghon ko hawaen bojh lagti hain
kabhi yun tha ki aata tha bhanwar se KHauf logon ko
kabhi in baadbanon ki wafaen bojh lagti hain
bahut naraaz hai mujh se meri shah-rag ka ham-saya
jise chhoTi-baDi meri KHataen bojh lagti hain
sahaare bhul jate hain asir-e-arzu ho kar
jawan aulad ho jae to maen bojh lagti hain
kuchh aise log hain rishton pe jo jaan war dete hain
ye aise log hain jin ko anaen bojh lagti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.