kabhi talash na zae na raegan hogi
kabhī talāsh na zaa.e na rā.egāñ hogī
agar huī bhī to az-rāh-e-imtihāñ hogī
agar mumāniyat-e-sair-e-gulistāñ hogī
to phir bahār hameñ rū-kash-e-ḳhizāñ hogī
usuul ye to nahīñ hai ki nā-murād raheñ
fazā kabhī na kabhī ham pe mehrbāñ hogī
jahān-e-dard meñ insāniyat ke naate se
koī bayān kare merī dāstāñ hogī
mai-e-nashāt-o-tarab jis kā ham se va.ada thā
jabhī huī na farāham to ab kahāñ hogī
bayān-e-ġham to bahut sahl hai pa lazzat-e-ġham
sivā-e-ijz-e-bayāñ kis tarah bayāñ hogī
agar ġhalat hai jo kuchh us ne mujh se aa ke kahā
to ye jasārat-e-tahrīf-e-rāzdāñ hogī
pata chalā ki basārat-fareb haiñ jalve
maiñ is ḳhayāl meñ thā aql pāsbāñ hogī
vahāñ vahāñ ġham-e-hālāt raushnī deñge
mirī ġhazal kī rasā.ī jahāñ jahāñ hogī
piyo piyo ki subūhī se fāsla na rahe
numūd-e-sub.h kī taqrīb meñ azaañ hogī
nashemanoñ kī muḳhālif na thī bahār-e-chaman
magar sharārat-e-īmā-e-bāġhbāñ hogī
to kyā kasāfat-e-uryāni-e-ġhazal ai 'shād'
adab kī ḳhaak uḌāne se kuchh ayaañ hogī
kabhi talash na zae na raegan hogi
agar hui bhi to az-rah-e-imtihan hogi
agar mumaniyat-e-sair-e-gulistan hogi
to phir bahaar hamein ru-kash-e-KHizan hogi
usul ye to nahin hai ki na-murad rahen
faza kabhi na kabhi hum pe mehrban hogi
jahan-e-dard mein insaniyat ke nate se
koi bayan kare meri dastan hogi
mai-e-nashat-o-tarab jis ka hum se wada tha
jabhi hui na faraham to ab kahan hogi
bayan-e-gham to bahut sahl hai pa lazzat-e-gham
siwa-e-ijz-e-bayan kis tarah bayan hogi
agar ghalat hai jo kuchh us ne mujh se aa ke kaha
to ye jasarat-e-tahrif-e-raazdan hogi
pata chala ki basarat-fareb hain jalwe
main is KHayal mein tha aql pasban hogi
wahan wahan gham-e-haalat raushni denge
meri ghazal ki rasai jahan jahan hogi
piyo piyo ki subuhi se fasla na rahe
numud-e-subh ki taqrib mein azan hogi
nashemanon ki muKHalif na thi bahaar-e-chaman
magar shararat-e-ima-e-baghban hogi
to kya kasafat-e-uryani-e-ghazal ai 'shad'
adab ki KHak uDane se kuchh ayan hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.