kabhi to baiThun hun ja aur kabhi uTh aata hun
kabhi to baiThun hun ja aur kabhi uTh aata hun
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
kabhī to baiThūñ huuñ jā aur kabhī uTh aatā huuñ
manūñ huuñ aap hī phir aaphī ruuTh jaatā huuñ
mo.āmla to zarā dekhiyo tū chāhat kā
mujhe satāve hai vo us ko maiñ satātā huuñ
rukā huā vo mujhe dekh kar jo bole hai
to boltā nahīñ maiñ us se sar hilātā huuñ
par itne meñ jo maiñ sochūñ huuñ ye na ruk jaave
zabāñ pe apnī bhī ik-ādh harf laatā huuñ
kahe hai dil ye ki aise se dostī hai abas
burā.iyoñ kā jo us kī ḳhayāl laatā huuñ
ye kah ke baiTh rahūñ huuñ jo apne ghar meñ zarā
to dil kahe hai ye ghabrā ke ''maiñ to jaatā hūñ''
jab apnā haal ye dekhūñ huuñ maiñ to honā chaar
jhapaT ke pīchhe se dil ke qadam uThātā huuñ
batā tū 'mus.hafī' kyā tujh ko ho gayā kam-baḳht
kuchh in dinoñ tirā chehra taġhīr paatā huuñ
kabhi to baiThun hun ja aur kabhi uTh aata hun
manun hun aap hi phir aaphi ruTh jata hun
moamla to zara dekhiyo tu chahat ka
mujhe satawe hai wo us ko main satata hun
ruka hua wo mujhe dekh kar jo bole hai
to bolta nahin main us se sar hilata hun
par itne mein jo main sochun hun ye na ruk jawe
zaban pe apni bhi ik-adh harf lata hun
kahe hai dil ye ki aise se dosti hai abas
buraiyon ka jo us ki KHayal lata hun
ye kah ke baiTh rahun hun jo apne ghar mein zara
to dil kahe hai ye ghabra ke main to jata hun
jab apna haal ye dekhun hun main to hona chaar
jhapaT ke pichhe se dil ke qadam uThata hun
bata tu 'mushafi' kya tujh ko ho gaya kam-baKHt
kuchh in dinon tera chehra taghir pata hun
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 206)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.