kabhi to dil ka kaha dil se wo sunega hi
kabhī to dil kā kahā dil se vo sunegā hī
ye qatra sañg meñ sūrāḳh to karegā hī
vo mere haath se barsāt ke zamāne meñ
pakauḌe khā.egā aur chaa.e bhī piyegā hī
suhānī shaam kisī dil-nashīñ vaadī meñ
vo do hī saath saath chale chalegā hī
abhī ye soch ke maiñ zulm sahtī jaatī huuñ
kabhī to haath tire zulm kā rukegā hī
ye dāġh-e-dil nahīñ jo chhup sake chhupāne se
badan kā zaḳhm hai ab ḳhuun to bahegā hī
asiir sab haiñ fanā ke hisār meñ lekin
ḳhudā kī yaad se behtar sila milegā hī
shu.ūr se hī bashar chāñd par bhī pahuñchā hai
zamāna ilm kī daulat se to baḌhegā hī
koī ġhurūr meñ elān-e-ḳhud-sarī kar le
ḳhudā ke sāmne āḳhir ko sar jhukegā hī
'sabīla' tere haqīqat bayān karne se
jahāñ pe rāz-e-junūñ ek din khulegā hī
kabhi to dil ka kaha dil se wo sunega hi
ye qatra sang mein suraKH to karega hi
wo mere hath se barsat ke zamane mein
pakauDe khaega aur chae bhi piyega hi
suhani sham kisi dil-nashin wadi mein
wo do hi sath sath chale chalega hi
abhi ye soch ke main zulm sahti jati hun
kabhi to hath tere zulm ka rukega hi
ye dagh-e-dil nahin jo chhup sake chhupane se
badan ka zaKHm hai ab KHun to bahega hi
asir sab hain fana ke hisar mein lekin
KHuda ki yaad se behtar sila milega hi
shuur se hi bashar chand par bhi pahuncha hai
zamana ilm ki daulat se to baDhega hi
koi ghurur mein elan-e-KHud-sari kar le
KHuda ke samne aaKHir ko sar jhukega hi
'sabila' tere haqiqat bayan karne se
jahan pe raaz-e-junun ek din khulega hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.