kabhi to mehrban ho kar bula len
kabhī to mehrbāñ ho kar bulā leñ
ye mahvash ham faqīroñ kī duā leñ
na jaane phir ye rut aa.e na aa.e
javāñ phūloñ kī kuchh ḳhushbū churā leñ
bahut ro.e zamāne ke liye ham
zarā apne liye aañsū bahā leñ
ham un ko bhūlne vaale nahīñ haiñ
samajhte haiñ ġham-e-daurāñ kī chāleñ
hamārī bhī sambhal jā.egī hālat
vo pahle apnī zulfeñ to sambhāleñ
nikalne ko hai vo mahtāb ghar se
sitāroñ se kaho nazreñ jhukā leñ
ham apne rāste par chal rahe haiñ
janāb-e-shaiḳh apnā rāsta leñ
zamāna to yūñhī rūThā rahegā
chalo 'jālib' unheñ chal kar manā leñ
kabhi to mehrban ho kar bula len
ye mahwash hum faqiron ki dua len
na jaane phir ye rut aae na aae
jawan phulon ki kuchh KHushbu chura len
bahut roe zamane ke liye hum
zara apne liye aansu baha len
hum un ko bhulne wale nahin hain
samajhte hain gham-e-dauran ki chaalen
hamari bhi sambhal jaegi haalat
wo pahle apni zulfen to sambhaalen
nikalne ko hai wo mahtab ghar se
sitaron se kaho nazren jhuka len
hum apne raste par chal rahe hain
janab-e-shaiKH apna rasta len
zamana to yunhi ruTha rahega
chalo 'jalib' unhen chal kar mana len
- Book : Kulliyat-e-Habib Jalib (Pg. 44)
- Author : Tahir Sons Publishers
- Publication : Tahir Sons Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.