kabhi to pyar se lega wo nam apna bhi
kabhī to pyaar se legā vo naam apnā bhī
qubūl hogā kisī din salām apnā bhī
kabhī to ham bhī rag-e-gul se kaaT deñ patthar
jahāñ meñ kuchh to ho mash.hūr naam apnā bhī
koī to jhāñkegā merī taraf darīche se
kisī nigāh meñ hogā maqām apnā bhī
is aarzū meñ sar-e-rāh baiTh jaatā huuñ
vahāñ se lā.egā qāsid payām apnā bhī
vo jis ke dil meñ jagah hai musāfiroñ ke liye
ye kyā zarūr kare intizām apnā bhī
machī haiñ shahr meñ jis ke ḳhulūs kī dhūmeñ
vo shaḳhs kuchh to kare intizām apnā bhī
mujhe yaqīn hai saaqī ke lutf par 'anvar'
sharāb-e-husn se bhar degā jaam apnā bhī
kabhi to pyar se lega wo nam apna bhi
qubul hoga kisi din salam apna bhi
kabhi to hum bhi rag-e-gul se kaT den patthar
jahan mein kuchh to ho mashhur nam apna bhi
koi to jhankega meri taraf dariche se
kisi nigah mein hoga maqam apna bhi
is aarzu mein sar-e-rah baiTh jata hun
wahan se laega qasid payam apna bhi
wo jis ke dil mein jagah hai musafiron ke liye
ye kya zarur kare intizam apna bhi
machi hain shahr mein jis ke KHulus ki dhumen
wo shaKHs kuchh to kare intizam apna bhi
mujhe yaqin hai saqi ke lutf par 'anwar'
sharab-e-husn se bhar dega jam apna bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.