kabhi tujhse aisa bhi yarana tha
kabhī tujh se aisā bhī yārānā thā
musalle se uThnā gavārā na thā
yūñhī is taraf ham chale aa.e the
kisī ne bhī ham ko pukārā na thā
vo ik mauj thī sar uThātī huī
kaheñ kaise dil se kinārā na thā
chamak jis kī kal shab mazā de ga.ī
kahīñ aaj kī shab vo taarā na thā
bahut ḳhush hue ā.īna dekh kar
yahāñ koī saanī hamārā na thā
sahar ho rahī thī magar raat ne
libās-e-urūsī utārā na thā
kabhi tujh se aisa bhi yarana tha
musalle se uThna gawara na tha
yunhi is taraf hum chale aae the
kisi ne bhi hum ko pukara na tha
wo ek mauj thi sar uThati hui
kahen kaise dil se kinara na tha
chamak jis ki kal shab maza de gai
kahin aaj ki shab wo tara na tha
bahut KHush hue aaina dekh kar
yahan koi sani hamara na tha
sahar ho rahi thi magar raat ne
libas-e-urusi utara na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.